Friday 31 August 2018

How to earn money from YouTube in hindi.full detail

How to earn money from YouTube in hindi.

How to earn money from YouTube in hindi.
How to earn money from YouTube in hindi.

By Govind kumar 

Namaskar dosto kaise hai aap log. aaj ke is post me hum aap logo ko batayege ki aap Youtube se paise kaise kama sakte hain.

Dosto aaj ke samay me shayad hi koi aisa ho jise Youtube ke bare me na pata ho. Ham sabhi log jante hai ki youtube ak video sharing platform hai. jaha par aap kisi or ki videos dekh sakte hain or apni videos bhi dusro ko dikha sakte hai.

Iske alawa aap apni video Youtube par daal kar paise bhi kama sakte ho. Kuch logo ko pata bhi hai or kuch ko pata bhi nahi. Bahut se logo ko pata to hai ki youtube se paise kamaye jate hain par un logo ke mann me bahut sare sawal hote hai. Isise wo log problem me par jate hai. Jaise ki -

  1. Video kaisi banaye
  2. Youtube kab paise dega
  3. Youtube kaise paise dega
  4. Adsense kya hai
  5. Channel review ke liye kab hoga
  6. Copyright claim kya hota hai
  7. Copyright strike kya hoti hai
  8. Community guideline strike kya hoti hai
  9. Hame kitne dino me paise milne lagenge
  10. Youtube kitne rupay deta hai
  11. Many more.....  
Dosto or bhi bahut sare sawal hote hai jo naye youtuber hote hain ya jo youtube par ana chahte hai.

To dosto mai jo tareeka batane ja raha hu wo akdam simple hai. Mai aap logo ko bahut hi simple method se samjhata hu.aapko ek gmail account ki jarurat hogi.

Gmail Account.

  1. Dosto youtube par channel banane ke liye aapke paas ek gmail account hona chahiye. Us gmail account se aap youtube par jab login karenge tab aapka channel ban jayega.
  2. Ab aapke screen ke upar ke right corner par aapka gmail id show hone lagega.aap uspar click karke aap apne channel ko customize kar sakte ho.
  3. Channel ko customize karne ke baad aapko apne channel par videos upload karne hain.
  4. Upload ka option upar hi aapko mil jayega.
  5. Upload karte time aapko video ka title,description, tags,or thumbnail ko jarur acche se lagaye.

Ji ha dosto aapne ab channel to bana liya leki dhyan rahe ki aapko kisi dusre ki videos ko apne channel par bilkul bhi nahi upload karna hai warna aapka channel band ho jayega.

Aapko apne hi phone ya fir camera se video banakar usko edit karke usme free ke sound effect lagane honge. tab hi aapke video youtube ke liye original hogi. 

Ye samajh lijiye ki video me sab kuch aap hi ko karna hai.
Maan lijiye aapne apne channel par video bhi laad diye ab aap kahoge ki hame paise kab or kaise milenge. Aapko ye bata de ki youtube par jab hamari video par advertisement aana shuru ho jata hai tabhi hamari income hoti hai.

Adsense account

Adsense hamari video par ads lagata hai.
To iske liye aapko google AdSense ki jarurat hogi. Google AdSense par aapko itni Jalldi koi jarurat nahi hai pahle aapko or bhi bahut sare kaam karne honge. To chaliye mai aapko batata hu.

Dosto jab tak 365 dino me aapke channel par watchtime 4000 hours or kam se kam 1000 subscribers nahi gonge tab tak aapke video par ads nahi show honge.

Jab aake channel par 4000 ghante watch time or 1000 subscriber ho jaye tab aap apne channel ko review ke liye apply kar de. Jab aapka channel approve ho jayege tab aapka monetization on ho jayega tab aapki videos par ads ane lagenge. Tab aapki income start ho jayegi.

Ye income apko aapke AdSense account par show hogi. Adsense ki policy ke anusar jab taj aapke 100 dollar complete nahi honge tab tak payment nahi deta.jab aapje account me 10$ ho jayenge tab aapke ghar par post ke dwara ak verification code ayega.ye code inter karne ke baad jab bhi aapke 100$ pure honge tab aap apna bank account details de kar payment receive kar sakte hain.

Aapko ye post kaisi lagi. Agar apko khuch samajh me na aya ho to aap comment kar ke puch sakte hain.

Thanks! 






0 comments: