Thursday 30 August 2018

How to make Bird with little babies from cotton. Gk craft

How to make Bird with little babies from cotton. 

by Govind kumar

How to make Bird with little babies from cotton.
How to make Bird with little babies from cotton. 


Hello dosto, namaste kaise hain aap log. Ummid karta hu ki aap acche hi honge.

To ab topic par aate hain .to dosto aap ke is post me hum aap logo ko batayege ki aap log rui/cotton se ak sundar bird चिड़िया or uske bacche kaise banayege.

Ji ha dosto rui se bird or uske bacche. To dosto ye banana bahut hi aasan hai. Aap bhi ise bahut aasani se ghar par bana sakte hai. Ye dekhne me itna beautiful lagta hai aap soch nahi sakte. jab maine ye bird baniyee thi to mujhe bhi yakeen nahi ho raha tha ki sirf cotton se hi itni beautiful cheez bhi ban sakti hai.yah ak decorative item hai aap ise school projects me bhi leja sakte ho.

Aap ise apne kamre me rakh kar apne kamre ko or bhi acche se saja sakte ho. Ye itna sundar hota hai ki sab aapki hi tareef karenge ki yaar kya cheej banai hai or wo yahi kahege ki ak mere liye bhi bana do. To dosto mai aapke liye aise hi or bhi bahut sare items laya karta hu is website par. To aap jude rahiye hamse yani Gkcraft se.

To dosto chidiya/bird ko banane ke liye aapko kuch cheejo ki jarurat hogi. Ye cheeje aapko aasani se apne ghar me hi mil jayegi. Agar aapke ghar me nahi ho to koi baat nahi aap market ja kar aasani se in saman ko khareed sakte ho.
To mai niche kuch cheeje bata raha hu jo aapko bird banane ke liye leni hogi.

Things you required/आवश्यक सामग्री 


  1. रुई/cotton
  2. गोंद/glue
  3. गुलाबी रंग/pink color
  4. छोटी मोतियां/ small fiber stone
  5. गुलाबी कागज/pink paper 
To dosto aapko upar di hui kuch chije leni hongi.
Sabse pahle baat kare rui ki to rui/cotton acchi wali honi chahiye. Hamne gulab rang is liye bataya hai kyunki aapko safed rui ko thoda sa pink color me rangna hoga.
Yani ki aapko do color ki cotton ka istemal karna hai.
Safed cotton or pink cotton.

White cotton se hum bird ki sirf body banayenge or pink cotton se bird ke pankh/par banayenge ok.

Maine jo motiya or pink paper bataya hai wo aankhe or chonch banane ke liye hai.
Or glue se in sab ko aapas me jodne ke liye lena hai.

To dosto ab apni bird banate hain.

बनाने की विधि। Let's make bird with their little baby.

Sabse pahle to hame bird ka pet banna hai.to iske liye aapko white cotton ko lekar ek cchoti si ball bana le. fir bird ka sir banane ke liye pahle wale ball se bhi cchoti ek ball ya gola or bana le. Ab aapki bird ka sir or body dono glue se chipka de. 
Ab body or sir ban chuka hai.

Ab hame par yani ki chidiya ke pankh banane honge.
To iske liye hame pink cotton ko par ke shape me kaat le.
Or fir dono pankho ko bird ke dono taraf laga de. Aapne chidiya to dekhi hi hogi thik usi tarah pankho ko chipka de.

Ab baari hai aapnkh banane ki to ak moti ko beech se fod kar do kar karke bird ki aankho ki jagah par laga de.

Ab pink paper se cchoti si cone kaat kar chonch bana kar bird ki chonch bana dijiye,

Ab aapki bird complete ho gaye hai.

Ab same tareeke se chidiya ke bacche bhi isi tarah bana lijiye.

Loji taiyar hai aapki bird or uske bacche aapke ghar ki shobha badhane ke liye.
Aap ise kisi ko gift bhi kar sakte hain.
Aake liye or bhi bahut sari cheeje hai hamare paas. Aap unhe bhi dekh sakte hai.




0 comments: