Thursday, 30 March 2023

Chat gpt kya hai or kaise kaam karta hai.

Chat gpt kya hai or kaise kaam karta hai. 

Chat gpt kya hai or kaise kaam karta hai.


Chat gpt kya hai

Hi guys. Chat gpt ek AI ( Artificial Intelligence) computer program hai. Ise abhi ek website ke jariye use karte hai. Ab ab tak ka sabse achha ai program hai jo kisi bhi kaam ko bahut hi asaani se kar sakta hai. Isme ham chatting ke jariye kuch bhi puch sakte hai or ye chat ya text ke jariye hi jawab deta hai. Kisi bhi cheej ke bare me janane ke liye bas aapko iske andar koi bhi question type karna hota hai or chat gpt ek second ke ander hi questions ka answer de deta hai. Ye website sabhi fields me bahut hi jyada useful hai. Ye computer program humen se bhi jyada achhe se likhta hia. 

Chat gpt kaise kaam karta hai.

Chat gpt ko use karne ke liye hame Sabse pahle kisi bhi internet browser chat gpt search karna hoga ya fir chat. openai. Com website par jana hoga or waha par apna account banana hoga.fir aapko waha ek chat karne ka option mil jayega. Uske baad aap use aasani se istemal kar sakte hai. Waha aap apna koi bhi question likhkar answer pa sakte hai. 

Esme or bhi innovation kiya jayega. 

Tuesday, 28 March 2023

How to make Money on YouTube. Yotube se kitna kamaya ja sakta hai.

 How to make Money on YouTube.

 
How to make Money on YouTube.  Yotube se kitna kamaya ja sakta hai.

Hi guys. Aaj is post me ham janege ki youtube me ham kitna money earn kar sakte hai. 
Aapne kabhi na kabhi ye to jarur suna hoga ki yt se ham lakho Or crore rupay kama sakte hai to kya ye baat sahi hai. 

To mai aapko bata du ki ye baat 100% sahi hai ki aap YouTube se hajaro, lakhs, and crore rupay bhi kama sakte ho. Lekin isko kamane ke liye aapke paas kuch cheeje hona behad jaruri hai. 

Yotube se paise kamane ki jaruri cheeje. 

Dosto sabse pahle aapke paas koi talent ka hona bahut haruri hai tab aap yt se achha kama sakte ho. 

Or dusra jo log faltu ka video banate hai wo bhi paise kama sakte ho. 

Sabse jyada to nudity dikha kar paise kamaye ja sakte hai. 

Ye baat sach hai ki adult/nudity dikha kar log lakho rupay kama rahe hai ye kaam har koi nahi kar sakta ya ye kahe ki achhe ghar ke log aisa kabhi nahi karenge. 

Ye kaam jo karta hai use bahut jyada earning hoti hai. 

Kring content par bhi bahut jyada views aate hai. 

Agar aap ye soch rahe hai ki ham fair content bana kar aap yt se paise kame lenge to uske liye aapke paas kismat achhi wali honi chahiye. 

 Full Details to make make money from yotube.

Click here.https://www.gkcraft.in/2018/08/how-to-earn-money-from-youtube-in.html


Saturday, 20 August 2022

Bhartiye nagrik ke moulik adhikaar.

 
Bhartiye nagrik ke moulik adhikaar.

Bhartiye nagrik ke moulik adhikaar. 


Hello friends 
Hum aapko bhartiye samvidhan se prapt moulik adhikaro ke baare me batayenge. 
bahut saare loogo ko moulik adhikar ke baare. 
me pata nahi hone ke karan unke moulik. 
adhikaro ka hanan hata hai. 
Desh ke har nagrik ko uske moulik. 
adhikaro ke baare me jaankari honi chahiye. 

MOLIK ADHIKAR (ARTICLE 12-35) 

1. SAMTA/SAMANTA KA ADHIKAR 

(ARTICLE 14-18) 

2.SAVATANTRA KA ADHIKAR 

(ARTICLE 19-22) 

3. SHOSHAN KE VIRUDH ADHIKAR

(ARTICLE 23-24) 


4.DHARMIC SWATANTRATA KA ADHIKAR

(ARTICLE 25-28) 

5.SANKRATIK AVM SHAICHHANIK (ARTICLE 29-30) 

6.SAMVIDHANIK UPCHARO KA ADHIKAR (ARTICLE 32-35) 

SAMPATI KA ADHIKAR (ARTICLE 31A) MOULIK ADHIKAR SE HATAKAR AB 44 SAMVIDHAN SHANSHODHAN 1978 ME KIYA GAYA AB ESE (ARTICLE 300A) VIDHIK ADHIKAR KAR DIYA GAYA HAI . 


1.(SAMANTA KA ADHIKAR ARTICLE 14-18) 

ARTICLE 12

Article 12 me rajya ki paribhasha ka vardan kiya gaya hai. 

(ARTICLE 13) 

Article 13 me kanoun jo mool adhikaro ke prati ke ashangati. 

(ARTICLE 14) 

ARTICLE 14  kanoon ke shamch samta v samanta ka adhikaar. 

(ARTICLE 15) 

Article 15 dharm ,prajati , athwa nashl, jaati, ling, janmsthan ke adhaar par bhedbhaav ka nishedh. 

(ARTICLE 16) 

Article 16 ke antrgat loak niyojan ke avsar me 
samaanta. 

(ARTICLE 17) 

Article 17 ke antrgat aashypashta ka unmoolan 
esme choovachoot ka ant. 

(ARTICLE 18) 

Article 18 esme upadhiyo ka annt. 

2.  SVATANTRA KA ADHIKAR ARTICLE (19-22) 

(ARTICLE 19) 

Article 19 ke antrgat vaak abhivyakti ki savatantrata se sambandhit  adhikaro ka sanrachan  esme hame bolne v apne vichar 
Prashtut karne ki swatantrata. 


(ARTICLE 20)  

Article 20 ke antrgat apradho ke liye dhosshidi se sarachan.


(ARTICLE 21) 

Article 21 esme jivan tatha abhivyakti ki swatantrata. 

(ARTICLE 21A) 

Article 21a ke antrgat esme shisha ka adhikar 
86 samvidhan shansodhan 2002 ke antrgat jooda gaya. 

(ARTICLE 22)  

Article 22 kuch mamlo me griftaari tatha niroodhta se sarachan . 


3.SHOSHAN KE VIROODH ADHIKAR ARTICLE 23-24.

(ARTICLE 23) 

Article 23 manav durvyapar tatha balaatsharm se sarachan. 

(ARTICLE 24)  

Article 24 esme 14 year se kam bachho ko karkhano me kaam karna nishedh. 

4. (DHARMIC SWATANTRA 25-28) 


(ARTICLE 25) 

Article 25 ke antrgat antah karan tatha dharm ke prakat karne abyaash avm prachaar and prashar ki swatantrata. 

(ARTICLE 26) 

Article 26 dharmic mamlo ke prabandhan ki swatantrata.

(ARTICLE 27) 

Article 27 ke antregat kisi vishesh dharm ko protshit karne ke liye kar bhugtaan ki swatantrata. 


(ARTICLE 28) 



Article 28 ke antrgat kuch shechadik shansthano me dharmic nirdesho athva dharmic upashna ke liye upesthit hone ki swatantrata. 

5. SANSKRATIK AVM SHECHADIK ADHIKAR ARTICLE 29-30.

(ARTICLE 29) 

Article 29 alpshankhyako ke hito ka sarachan. 

(ARTICLE 30) 

Article 30 alpshankhyako ko apni shechadik shansthano ko kholne Or chalane ki swatantrata. 

6.SAVEDHANIC UPCHAR O KA ADHIKAR ARTICLE 32-35).

(ARTICLE 32) 

Article 32 ke antrgat ager kisi vyakti ke molik adhikaro ka hanan hota hai. to vah vyakti article 32 ke antrgat supreme court ja sakta hai. Or article 216 ke antrgat high court ja sakta hai. Superme court ko molik adhikaro ka sarnchak kaha jaata hai. 

Wednesday, 28 July 2021

Mahakaal Photo Editing from Pixart Mobile

 

Mahakaal Photo Editing from Pixart Mobile

Hello πŸ‘‹ everyone toh aaj ka post photo editing pe hai _ Mahadev photo editing on mobile - picsart application. 




Mahakaal Photo Editing from Pixart Mobile


1. Aap ko kuch aise photo click karne hai 





2.Or aap ko apni photo picsart application me open karna hai. and aap ko icon main (cutout) ka option melega usmain aapko apne photo pe pant  karna hoga kuch es taraha se 



Acchi tarah se pant karke save vale option pe click karo. 



And aap ke

photo ka background auto remove ho jayega 



Background remove karne ke baad photo save karlo. 


Mahakaal Photo Editing from Pixart Mobile


3. Aap photo main koai bhe background lagana hai toh us background photo ko import karlo (Add) ke option pe click karke background remove vale photo add karlo  es tarah se 


Mahakaal Photo Editing from Pixart Mobile


4. Effect (color) color replace main jaake apne hand pe le jana hai or aap ke hand ka color blue ho jayega 


Mahakaal Photo Editing from Pixart Mobile


Extra color ko erase kar dena hai kuch es tarah se πŸ‘‰πŸ‘‰



Or photo ko save karke (Add) option pe click karke aap ko ek chandan teka lena hai or us ko apne hand ✋pe arjest karna hai 


Mahakaal Photo Editing from Pixart Mobile


5 .or ek rudraksha mala lene hai or us ko apne haath pe arjest karna hai 


And aap ko or bhe kuch aad karna hai toh aad kar sakte hain. 



And aap ke (Mahadev) photo editing complete hojayege

Saturday, 10 July 2021

What is smoke fountain. How to make backflow smoke burner.


 Hello friends. Aaj ham aapko is post me Smoke fountain ke bare me puri jaankaribdene wale hai. Dosto ise kai namo se jana jata hai. Jaise ki.

1.Insence burner

2. Back smoke fountain

3. Insence cone burner

4. Backflow smoke fountain etc. 


1. Smoke fountain kya hota hai. 

Dosto smoke fountain ek tarah ka docoration item hota hai. Isme ek dhoopbatti jalakar lagana hota hai. Dhoopbatti ke thoda jalne ke baad iska smoke yani dhua niche ki or girne lagta hai. Joki dekhene kafi jyada achha lagta hai. Sare showpiece fountain me yahi process hota hai sirf showpiece ka model change ho jata hai. 

2. Smoke fountain kaise banate hai. 


Sabse pahle dosto aapko ek model banana hoga jisme se aap smoke nikalna chahte ho. Ye aap apne man se kisi bhi design ka bana sakte ho. Bas aapko ye yaad rahna chahiye ki uska smoke flow way yani ki dhua jaha se bahega wo rasta aapko bahut acche se banana hoga. 

Upar jis tarah ka hamne aapko dikhaya hai usi tarah ka ham banane wale hain. Jisme ki hamne waterfall ka design diya hai or bagal me Ganesh ji bhi bithaye hain. Yqha par ham aapko Ganesh ji banakar nahi dikhane wale hai. Sirf waterfall design ka smoke fountain banayege. 

1. Hamne thomacol ka use kiya hai. Upar image me aap dekh sakte hai ki kis tarah se hamne thomacol ko kata hai usi prakar se aapko bhi kaatna hai. Or usko glue gun ya kisi bhi cheej se aise hi chipkana hai. 





2. Use baad hamne yaha M seal ka use kiya hai. Aap Mseal ko le sakte ya fir clay ko bhi le sakte hai. 




3. M seal ya clay se thermacol ko poora cover kare dijiye. Upar image me dekh lijiye. Uske baad aapko ek ring banana hai. Ring ko image ki dikhaye gai sabse upar chipkana hai jaha se smoke nikalna hai. Is ring aise lagaye ki niche se smoke nikalne ki thodi si jagah ho. 


4. Uske baad aap color kare or fir aap chahe to ispar warnish bhi chada sakte ho. Warnish se showpiece me chamak Or bhi jyada ajati hai. 



5. Hamne Ganesh ji is tarah ke banaye hai. 


6. Hamara smoke fountain kuch is tarah ka bankar tayyar hai. 




7. Uske baad hame ek bhoopbatti se ek cone banani hai Or uske niche ek surag/ hole πŸ•³karna hoga ye hole aar paar nahi hona chahiye. Hole karne ke baad aapki insence cone bankar tayyar hai. Ab aap dhoopbatti cone ko jalakar fountain ke ring par rakhhe kuch samay baar isme se smoke nikalne lagega. 

Ummed hai dosto aapko ye bahut hi pasand ayega. Aap agar video tutorial dekhna chahte hai to aap hamare YouTube channel par aiye yaha aapko bahut saari video milegi. 

Mere channel ka link. 
Govind arkhvanshi
https://youtube.com/c/GovindArkhvanshi

Gk craft. 
https://youtube.com/c/GkCraft

Wednesday, 20 March 2019

Ghar par padai kaise kare. How to study at home.

Ghar par padai kaise kare. How to study at home.

Ghar par padai kaise kare. How to study at home.
Ghar par padai kaise kare. How to study at home.



Hello friends.
Dosto bahut ham jaise students aise hote hain jo school me to padai karte hain par ghar pe sahi tarike se nahi padte. Bahut bachhe ye sochte hain ki ham to school me par lete hain to ghar par parne ki kya jarurat. To dosto aap jo school me padte ho wo to aapko sirf rasta bata diya jata hai. Or usi raste par aapko ghar par mehnat karke or apne dimag se samjhna padega. Tabhi aapko sahibse sari chije samajhe ayegi.

Kuch aise bachhe hote hai jo parents ke dabao me bina mann ke padne baith jate hain to unko aisa nahi karna chahiye. Kyunki dabao dekar kisi ko koi pada nahi sakta. To aap ek niyam bana le ki hame kitni der padai karni hai. Usi hisab se aap apna timetable bana le. Tab aapki study sahi se ho payegi.

Aap jab bhi apna timetable banaye to 45 minutes padai kare or 10 se 15 minutes thoda sa rest kar le. Aisa karne se aapke dimag par jyada pressure nahi hoga or aapkibpadai bhi achhe se ho jayegi or aapko sari chije yaad bhi jalldi ho jayegi.

Aapko jo subject kam samajh me aata ho use aap pahle pade or baki subject baad me pade. Aapko sirf ratta nahi marta hai balki ek ek word achhe se samajh kar dimag me bithana hai.

Ak baat or kuch students aiae hote hain jo school se aate hi bas apni study me lag jaate hain. Dosto unko aisa nahi karna chahiye. Aap school se aane ke baad kam se kam 2 ghante tak rest kare.jisse aapka dimag thora fresh ho jaye.

Aapko yaad karne ki bajay samjhna chahiye. Padai karne ka sabse achha time subah ka hota hai. Is liye Jalldi subah uthkar study jarur kare.

Monday, 18 March 2019

Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.

Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.

Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.
Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.



Hello friends.
Dosto holi aane wali hai. Or rang khelne ki sab log tayyari me hain. To asie me hame bahut sawdhani se rang khelna chahiye. Kyunki hamari ek galti kisi ko bhari nuksaan pahuncha sakti hai. To aiye kuch jante hain ki rang kaise khelna chahiye.

1.Pani waste na kare.

Dosto hamare desh me kai rajyon me sukha pad jane ke karan waha ke kisan logo ki fasle sukh jati hai. Isse kisan aatmhatya tak kar lete hain. Iska mukhya karan hita hai pani ki barbadi. 

Wahi holi me log rang ko pani me milakar ek dusre ke upar fekte hain jisse wo pani barbad ho jata hai. Rang ko pani me na gholkar aap sukhe rang se bhi holi khel sakte hain. Jisse ham pani bhi bacha sakte hain or apni skin ko bhi bacha sakte hain.

2. Gulal or abeer se hi holi khele.

Dosto hame sukhe gulal ya abeer se hi holi khelni chahiye. Isse ham pani bhi bacha sakte hain. Or ye sukhe rang abeer ya gulal hamare twacha ko bhi koi nuksaan nahi pahuchate hain. Isi liye hamesha gulal or abeer ka hi istemal karna chahiye.

3. Skin friendly color se hi holi khelni chahiye.

Skin friendly color wo rang hote hain jo hamari skin ya twach par lagne ke baad hame koi nuksaan nahi pahuchata hai or ye rang asaani se chhut jata hai. Skin friendly color me gulal or abeer jaise dry color aate hain. Isiliye hame hamesha skin friendly rango ka istemal karna chahiye.

4. Holi khelne se pahle oil lagana chahiye.

Dosto holi khelne se pahle hame koi bhi vegitable oil jarur lagana chahiye. Jaise sarsonka tel, baby oil or aapke paas jo bhi ho. kyunki agar koi hamare upar hard color daal de to oil ya tel laga hone se wo hard color asaani se chhut jaye or hame koi nuksaan na pahunche.

5. Holi me pyar se rang lagwana chahiye.

Kai log hote hain jo rang lagwane se bachte hain or to koi unko rang lagane ke liye piche pad jata hai. Yaha par dono ko koi ladai khagda kiye bina ek dusre se rang lagwana chahiye kyunki aisa karne se kisi ko bhi chot aa sakti hai. Pyar se rang lagay or lagwaye.

6. Jabardasti rang nahi dalna chahiye.

Aapko hamesha dhyan rakhna chahiye ki kisi ke jabardasti rang bilkul nahi dalna chahiye. Kyunki jabardasti karne se ho sakta hai ki use koi nuksaan ho jaye. Or ho sakta hai ki uski aankho me rang pad jaye jo ki bahut khatarnak hai. Isiliye jabardasti kisi par rang nahidalna chahiye.

Dosto hili khushiyon ka parv hai ise sharab jaise nashile padarth ko pikar barbaad na kare. Dhanyawad.

Or aap sabhi ko hamari www.gkcraft.in ki family ki or se 
                                            Happy holi!