Sunday 2 September 2018

What is Adsense full detail in hindi. Adsense kya hai Or kaise kaam karta hai.

What is Adsense full detail in hindi. 

What is Adsense full detail in hindi.
What is Adsense full detail in hindi. 

By Govind kumar


Hello everyone !  Agar aap internet use karte hain to aapne Adsense ka naam to jarur suna hoga agar nahi suna hai to aaj ke is post me ham janenge ki Adsense kya hota hai or ye kaise kaam karta hai. Maine bahut sare blog pade AdSense ke bare me lekin mujhe jyada samajh nahi aaya. Lekin jab maine khud apna youtube channel start kiya tab jake mujhe bahut kuch janne ko mila.

Main aap ko bilkul simple tarike se samjhane ki koshish karunga,to aapko acchi tarah sab samajh me agayega.

Adsense

Adsense kya hai.

Dosto kisi bhi chij ko istemal karne se pahle hame uske baare me acche se jaan lena chahiye. 
To dosto Adsense Google ka Advertisement network hai. Or simple bhasha me kahe to Ads network hai.

Agar hum online paise kamana chahte hai to Adsense hamare liye babse accha source hai. Adsense aapke youtube channel, website, or blog par advertisement dikhata hai isi advertisement ke dwara aapki income hoti hai. Dosto aisa bhi nahi hai ki aap youtube ya blog bana le to aapki earning shuru ho jayegi. Uske liye aapko aapko mehnat karni hogi. Ji ha dosto aapko apne youtube ya fir blog par mehnat karni hogi. Tabhi jake aap kuch kar payenge.

Adsense ke bhi bahut niyam or kanun hai jise aapko follow karna hoga.

Chaliye ab jaan lete hain ki AdSense kaise kaam karta hai.

Adsense kaise kaam karta hai.

Jaisa ki hamne aapko bataya ki AdSense advertisement dikhane ka kaam karta hai. To sabse pahle ham baat karenge youtube kee, ki AdSense youtube par kaise kaam karta hai or AdSense hamare youtube channel par kab or kaise ads dikhata hai. Kaise hame paise deta hai.

Youtube.

Dosto baat kare youtube ki to youtube par sabse pahle to aapko apne channel ko AdSense se jodna ya link karana hoga.
Dyan rahe ki hame paise AdSense seta hai na ki youtube.

Adsense ko link karane ke baad youtube ki policy ke anusar jab aapke channel par 4000 ghante ka watchtime or 1000 subscribers nahi complete ho jayenge tab tak Adsense aapke youtube channel par ads nahi dikhayega.

Jaise hi aapke 1000 subscriber or 4000 hours watchtime complete ho jaye tab aap apne channel ko monetize karwane ke liye request bhej sakte hain. Jab youtube aapke channel ko check kar lega ki aapke channel par watchtime or subscriber pure ho gaye hain. Tab Adsense aapki videos par advertisement dikhane lagega.
Yaha se aapki income start ho jayegi.

Website or blog.

To ab baat karte hain website or blog ki . To sabse pahle apni website ko acche se banana hoga or fir usme acche se post likhkar dalne honge. Jab aapke website ya blog par 20 se 25 post ho jaye tab aap AdSense ka approval lene ke liye request kar sakte ho. Jaise hi aapka AdSense approve ho jayega tab aapki website ya blog par ads dikhna shuru ho jayega.
Ab yaha se earning start ho jayegi.

Adsense hame kab payment deta hai.

Jab aapke Adsense account me 100$ ho jayege tab aap apne paise bank me transfer kara sakte ho. 

Adsense is month ki earning agle month me 21 se 26 tarik ke bich me deta hai. Or ye earning apke AdSense account me agle mahine ki 12 tarik ko show hone lagti hai.

Dosto aapko ye post kaisi lagi aap hame jarur bataye. 

Thanks !


0 comments: