Tuesday 28 August 2018

Gmail Account Kaise Banaye.

Gmail Account Kaise Banaye.

Gmail Account Kaise Banaye.
Gmail Account Kaise Banaye.

by Govind kumar

Dosto aaj ke samay me ham log jyadatar internet use karte hai aur aapka koi gmail account nahi hai to yeh bahut kharab baat hai. Chaliye aaj hum aapko gmail account banana sikhate hain. Gmail par account bana kar aap isi account se YouTube me log in kar sakte hain. Google ke or bhi bahut sare product hain aap usme bhi asaani se log in karke un apps ya product ka use kar sakte hain.

Gmail Account Kya Hota Hai?

Gmail account ek aisi id hoti hai jiske dwara aap kisi dusre gmail id ke pas massage bhej sakte hai. isme ek username hota hai or ek personal password hota hai jinki sahayta se hum google ki site par log in kar sakte hai isse hum youtube par bhi log in kar sakte hai.
google ke or bhi bahut sare product hai aap un sabhi me login kar ke unka laabh le sakte ho.
Agar aap logo ko abhi bhi nahi samajh me aya hai to mai aap log is tarah samajhiye
jis tarah hamara voter id ya fir aadhar card kam karta hai thik usi tarah hamara internet par gmail id kaam karta hai.
example-govindkumar16june@gmail.com
Ab hum aapko aage gmail account banana sikha rahe hai aap bas mujhe follow kijiye.

Gmail Account Kaise Banate Hai

Gmail Google ki hi ek service hai or isi liye ise google account bhi kahte hai. gmail account banana bahut hi asan hai.
Agar aapko hamari koi baat samajh me nahi aati hai ya fir koi or probelm hai to is post par comment kare main aapki help jarur karunga.
Step 1:
Sabse pahle aap Gmail.com site par jaye.
Ab Create an Account par click kare.
Ab aapke pc ya laptop me ek naya form ho jayega jisme aapko apni complete jankari bharni hai.
  1. Isme aap apna first and last name dale.
    (Exam- mera naam hai Govind kumar to mera first name Govind or last name hai kumar.
  2. USERNAME me aap apna khud ka name ya koi or name ya apne number bhi bhar sakte ho.
    magar aap isme wohi name bhar skate ho jo pahle kabhi bhi na use kiye gaye ho.
    (Exam- man lo aapka name mohit hai or mohit USERNAME dalne par error aa raha ho to aap use thoda sa change kar lo jase : mohit11, mohit123, mohit12345) ya fir aap apni marji se kuch bhi bhar sakte hai.
  3. Ab PASSWORD me aapko aise word ya password bharne hai jo aap kabhi bhule nahi or sath hi kisi or ko pata bhi na chale. aap apne password me( ABC,123.!#*^^.aBc etc.) tarike ke dale yani ki word, number and spcial carracter dale or ye password aap achi tarah yaad rakhe ya kahi likh kar rakhle taki aapko aage log in karne me problem na ho.
  4. Isme aapko apni date of birth detail bharni hai. yaad rahe ye ek dam sahi bharni hai kyoki future me kabhi aapka account band hone par inki jarurat padti hai.
  5. Isme aap ko apna gender bharna hai
    (Exam- agar boy ho to male or girl ho to female)
  6. Isme aap apna mobile number bharna hoga. jisse aap gmail account banana chahate hai.
  7. Isme upar diye gaye numbero ko achi taraha samajh kar bhar dijiye.
  8. Isme aap jis country ke bhi hai apni country ka name dal de.
  9. Gmail ki term of service and private policy ko tik kar de.
  10. Next par click kare.
Step 2:
Next par click karne ke baad aapke samne ek or naya window open hogi.
Ab aapko apna mobile number verify karna hai to Phone Number ki jagah par apna mobile number bhar do ye wohi number hone chahiye jo abhi abhi upar wale form me bhare the.ab aapke paas verify karne ke 2 option hai ek SMS ka ek CALL ka aapke liye SMS wala option hi behtar hai.
Ab Continue ke button par click kar dijiye.
Step 3:
Continue par click karne ke baad aapke mobile number par ek massage ayega us massage me kuch number honge jinhe aapko is form me bharna hai.
Note: aapko ye password 15 minitke ander hi verify karne hai warna aapka account expire ho jayega)
  1. Ab Continue wale button par click kar dijiye.
Step 4:
Ab jo form open hoga usme aapse google par profile banane ke liye pucha jayega aap chahe to profile bana sakte hai.
Magar abhi hum gmail accont par kam kar rahe hai to No Thanks par click kar dijiye.
Aapke No Thanks par click karte hi ek bar fir ek page open hoga.
Is page me aapka walcome kiya jayega kyunki aapne pahli bar gmail par account banaya hai.
  1. Is page me aapko Get Start button par click karna hoga. bas aapka kaam khatam ho gaya is tarah aapka gmail account ban chuka hai. Ab aap jab chahe  website par jakar log in kar sakte hai aapko bas itna karna hai aapka jo username or password hai wo is website me dalna hai or aapka account aapke open ho jayega.
Agar aapko google par gmail account kaise banaye post achhi lagi hai to is post ko social media par apne sabhi friends ke sath share jarur kare.
thanks!

0 comments: