Monday 4 March 2019

Youtube tag kya hota hai. Best tag kaise lagaye.

Youtube tag kya hota hai. Best tag kaise lagaye.

Youtube tag kya hota hai. Best tag kaise lagaye.
Youtube tag kya hota hai. Best tag kaise lagaye.



Hello friends. Agar aapne apna youtube channel shuru kiya hai. Ya aap youtube par naye hain to aapko tag ke baare me jarur jaan lena chahiye.

Dosto tag title or description ke niche dale jate hain. Ham jo bhi tag lagate hain usse hamari video usi tag ya keyword par search results me ajati hai. To ye tag ham apni video se related hi dalne hote hain. Ye tag aapko jyada nahi likhne chahiye. Aapko jyada se jyada 5 tags lagane chahiye.

Dosto agar aapko nahi pata ki ye tag kaise likhe jate hain. To mai aapko batane ja raha hu. Maan lijiye aapne ek video me bataya hai ki roti kaise banate hain. To uske aap tag kuch is tarah se likhne chahiye jaise- naram roti kaise banaye, chapati kaise banate hain, chapati banane ka asan tarika, is tarah se tag laga sakte hain.

Dosto aapko ye tag apne mann se hi likhne hote hain agar aapko tag likhne me kathinai hoti hai to aap google me search karke sabse niche likhe hue keywords ko copy karke youtube tag me paste kar sakte hain.

Agar aap google ke search results ko copy karke apne tag me lagate hain to aapki video rank karne ke jyada chance hote hain. Kyuki ye keyword khud google hame provide karata hai. Kyuki ye keyword google par log jyada search karte hain.

Dosto is tarah se aap apni video me achhe tag laga sakte hain. To ye the hamare best tag lagane ke tarike. Aapko kaise lage. Agar aap is tarah setag lagayenge to aapki video viral hone ke jyada chance ban jate hai. Aap ye post www.gkcraft.in par par rahe hain. Thanks.

0 comments: