Monday 18 March 2019

Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.

Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.

Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.
Holi me rang kaise khelna chahiye. Happy holi.



Hello friends.
Dosto holi aane wali hai. Or rang khelne ki sab log tayyari me hain. To asie me hame bahut sawdhani se rang khelna chahiye. Kyunki hamari ek galti kisi ko bhari nuksaan pahuncha sakti hai. To aiye kuch jante hain ki rang kaise khelna chahiye.

1.Pani waste na kare.

Dosto hamare desh me kai rajyon me sukha pad jane ke karan waha ke kisan logo ki fasle sukh jati hai. Isse kisan aatmhatya tak kar lete hain. Iska mukhya karan hita hai pani ki barbadi. 

Wahi holi me log rang ko pani me milakar ek dusre ke upar fekte hain jisse wo pani barbad ho jata hai. Rang ko pani me na gholkar aap sukhe rang se bhi holi khel sakte hain. Jisse ham pani bhi bacha sakte hain or apni skin ko bhi bacha sakte hain.

2. Gulal or abeer se hi holi khele.

Dosto hame sukhe gulal ya abeer se hi holi khelni chahiye. Isse ham pani bhi bacha sakte hain. Or ye sukhe rang abeer ya gulal hamare twacha ko bhi koi nuksaan nahi pahuchate hain. Isi liye hamesha gulal or abeer ka hi istemal karna chahiye.

3. Skin friendly color se hi holi khelni chahiye.

Skin friendly color wo rang hote hain jo hamari skin ya twach par lagne ke baad hame koi nuksaan nahi pahuchata hai or ye rang asaani se chhut jata hai. Skin friendly color me gulal or abeer jaise dry color aate hain. Isiliye hame hamesha skin friendly rango ka istemal karna chahiye.

4. Holi khelne se pahle oil lagana chahiye.

Dosto holi khelne se pahle hame koi bhi vegitable oil jarur lagana chahiye. Jaise sarsonka tel, baby oil or aapke paas jo bhi ho. kyunki agar koi hamare upar hard color daal de to oil ya tel laga hone se wo hard color asaani se chhut jaye or hame koi nuksaan na pahunche.

5. Holi me pyar se rang lagwana chahiye.

Kai log hote hain jo rang lagwane se bachte hain or to koi unko rang lagane ke liye piche pad jata hai. Yaha par dono ko koi ladai khagda kiye bina ek dusre se rang lagwana chahiye kyunki aisa karne se kisi ko bhi chot aa sakti hai. Pyar se rang lagay or lagwaye.

6. Jabardasti rang nahi dalna chahiye.

Aapko hamesha dhyan rakhna chahiye ki kisi ke jabardasti rang bilkul nahi dalna chahiye. Kyunki jabardasti karne se ho sakta hai ki use koi nuksaan ho jaye. Or ho sakta hai ki uski aankho me rang pad jaye jo ki bahut khatarnak hai. Isiliye jabardasti kisi par rang nahidalna chahiye.

Dosto hili khushiyon ka parv hai ise sharab jaise nashile padarth ko pikar barbaad na kare. Dhanyawad.

Or aap sabhi ko hamari www.gkcraft.in ki family ki or se 
                                            Happy holi!

0 comments: