Wednesday 20 March 2019

Ghar par padai kaise kare. How to study at home.

Ghar par padai kaise kare. How to study at home.

Ghar par padai kaise kare. How to study at home.
Ghar par padai kaise kare. How to study at home.



Hello friends.
Dosto bahut ham jaise students aise hote hain jo school me to padai karte hain par ghar pe sahi tarike se nahi padte. Bahut bachhe ye sochte hain ki ham to school me par lete hain to ghar par parne ki kya jarurat. To dosto aap jo school me padte ho wo to aapko sirf rasta bata diya jata hai. Or usi raste par aapko ghar par mehnat karke or apne dimag se samjhna padega. Tabhi aapko sahibse sari chije samajhe ayegi.

Kuch aise bachhe hote hai jo parents ke dabao me bina mann ke padne baith jate hain to unko aisa nahi karna chahiye. Kyunki dabao dekar kisi ko koi pada nahi sakta. To aap ek niyam bana le ki hame kitni der padai karni hai. Usi hisab se aap apna timetable bana le. Tab aapki study sahi se ho payegi.

Aap jab bhi apna timetable banaye to 45 minutes padai kare or 10 se 15 minutes thoda sa rest kar le. Aisa karne se aapke dimag par jyada pressure nahi hoga or aapkibpadai bhi achhe se ho jayegi or aapko sari chije yaad bhi jalldi ho jayegi.

Aapko jo subject kam samajh me aata ho use aap pahle pade or baki subject baad me pade. Aapko sirf ratta nahi marta hai balki ek ek word achhe se samajh kar dimag me bithana hai.

Ak baat or kuch students aiae hote hain jo school se aate hi bas apni study me lag jaate hain. Dosto unko aisa nahi karna chahiye. Aap school se aane ke baad kam se kam 2 ghante tak rest kare.jisse aapka dimag thora fresh ho jaye.

Aapko yaad karne ki bajay samjhna chahiye. Padai karne ka sabse achha time subah ka hota hai. Is liye Jalldi subah uthkar study jarur kare.

0 comments: