Tuesday 19 February 2019

How to change image background. Photo ka background kaise change karte hain.

How to change image background. Photo ka background kaise change karte hain.
How to change image background. Photo ka background kaise change karte hain.
How to change image background. Photo ka background kaise change karte hain.



Hello dosto. Bahut saare hamare dost honge jo photo ka background change karna chahte hai. Waise to bahut sare apps aapko play store par mil jati hai. Aap unse image ka background acche se nahi change ho pata ya finishing sahi se nahi hoti or wo photo, image kharab lagne lagti hai.

To friends aaj ham aapko batayege ki aap acche tarike se or best finishing ke sath aap apni pic ka background kaise badal sakte hain.

Friends iske liye hame jarurat hogi

1. Background Eraser
2. Picsart

Dosto sabse pahle baat karenge Background eraser app ki. Is  app se ham background ko remove karenge or fir ham Picsart app me background image ke upar laga denge.

Background Eraser sabse accha app mana jata hai background remove karne me. Kyunki isme aap bahut acchi finishing ke saath apni image ka background erase kar sakte hai.

So friends background change karne ke liye sabse pahle aap background Eraser app open karke aap jis bhi photo ka background change karna use is app me import kar lijiye. Fir zoom in or zoom out karke acche se background ko remove karke save kar lijiye.

Ab aap Picsart app ko open kare. Us image ya background ko import kare jise aapko background me rakhna hai. Fir add image par click karke app apni photo ko add kare. Apne hisab se adjust kar le. Or save kar lijiye is aneko filters hote hai aap use bhi kar sakte aapko jaise bhi acche lage.

Is tarah se aap apni image ka background change kar sakte hain.
 Dosto mai aaj bhi inhi apps ka use karta hu. Mujhe ye apps bahut pasand aye hain. Isiliye maine aapko bhi bataye.

0 comments: