Friday 7 September 2018

Youtube par video kaise upload kare. How to upload video on youtube.

Youtube par video kaise upload kare. How to upload video on youtube.  

By Govind kumar

Youtube par video kaise upload kare. How to upload video on youtube
Youtube par video kaise upload kare. How to upload video on youtube


Namaskar dosto ! Aajke is post me ham janenge ki youtube par video upload karte samay apko kin kin baato ka dhyan rajhna chahiye.

Bahut sare naye youtuber ko sahi jankari na hone par wo apni video ko aise hi upload kar dete hain jisse unki videos rank nahi ho pati. Video par views nahi aate ya fir search results me nahi aati hai. Agar search me aati bhi hai to kaafi niche show hoti hai. Aaj hum aaapko video upload karne ka sahi method batayege ki aap apni video ka title, description, tags or thumbnail kaise likhe or banaye jisse aapki video ko sahi se youtube suggestions me dale or aapki video par acche views aaye.


To mai jo tips aapko batane ja raha hu wo mai khud use karta hu or ye bilkul genuine method hai isme koi bhi khatra nahi hai. Ye sare kaam karne ke baad aapki video par views to aayege hi or aapke channel ki growth bhi hone lagegi.
To dosto chaliye aapko batate hain ki aapko kya kya karna hai.
Bas jo mai bata raha hu aap mujhe follow kariye.

1. Title

Sabse pahle or sabse important hota hai aapka title. Aap apna title apne video ke topic se hi Matching ka hi de. Title aisa ho jo or kisi ne na use kiya ho. Kahne ka matlab hai ki title bilkul unique hona chahiye 

For example
Agar aapka channel cooking se related hai to. Aapne apni video me chapati banana sikhaya hai to uska title aap me aap kya likhege. Aap likhenge ki - chapati kaise banaye. 
Ab ye title na jane kitne hi logo ne apni video ka diya hoga.
Agar aap iski jagah par - Makkhan jaisi mulayam chapati kaise banaye, 
Ab aapko khud hi samajh me agaya hoga ki kon sa title logo ko jyada pasand ayega.

Bas isi tarah ka title aapko likha hoga tabhi aapki video ko log jyada dekhenge. 

2. Description

Dosto title ke baad bari aati hai hai description ki to description me aapko apni hi video ke baare me short me likhna hota hai. Description bhi aapki videos ki ranking increase karne me help karta hai or aapki video ko youtube suggested videos me dikhata hai. To aap acche se description ko likhe . Aap description me #  ka bhi istemal kar sakte ho.
Jaise #mulayamchapati.

3. Tags

Ji ha dosto description ke baad bari aati hai tags ki . Tags ka kaam ye hota hai ki aap kin kin keyword par apni video ko related karate hai. jaise ki agar aapka cooking ki video hai aapne chapati banana bataya hai hai to aap tag aap kuch is tarah se likhe - chapati kaise banaye, mulayam chapati kaise banaye, roti kaise banaye, naram chapati kaise banate hai, or bhi aap apne video re related tag laga sakte ho.

4. Thumbnail

Sabse aakhiri or or sabse important hai thumbnail. Jo aapki video ko ak pahchan deti hai. Thumbnail ko aap kuch is tarah se banaye ki log dekhte hi uspar click karne par majboor ho jaye.

To dosto ab aap is tarah se apni video ko sahi tarike se upload kar sakte hain . Ye sari chijo ko aap dyan me rakhte hue aapni video ko ranking or suggestions me bahut Jalldi la sakte hain.
Is tarah se aapka channel grow hone lagega.

Dosto ummid karta hu ki aapko bahut kuch sikhne ko mila hoga.

Thanks !



0 comments: