Friday, 24 August 2018

Reservation train ticket kaise book kare

Reservation train ticket kaise book kare


Hello dosto aaj ki is artice mai hum aap logo ko batayege ki kaise aap Reservation train ticket ko book kar sakte hai or  Reservation Train Ticket Book karte time apko kin kin bato ka dhyan rakhana chahiye in sabhi cheejo ke bare me mai aap logo ko bataunga.to chaliye aage badhte hain.isse pahle mai aapko kuch or bhi bata du jo bahut jaruri hai.
Dosto sabse pahle hum aapko bata de ki Reservation Train ticket kya hota hai ?

Reservation Train Ticket Kya Hota hai ? -

friends Indian Railway ki Train me Travel karne ke liye apko Ticket ki jarurat hoti hai. 
waise har jagah ticket ki jarurat hoti hai.

Ticket 2 prakar ki hoti hai.

  1. Reserve Ticket
  2. General Ticket


Reserve Ticket aur General Ticket, General Ticket me apki Seat Confirm nahi hoti hai.yani ki Train me bheed kam hai to apko seat milegi aur agar bheed jyada hai to apko kafi muskil hogi.

wahi Reserve Ticket me apki Seat fix hoti hai yaani ki bheed chahe bhi jitani ho apko apki seat khali hi milegi.Reserve ticket general  ticket se jyada mahangi hoti hai aur apko seat reserve karane ke liye kam se kam 1 mahine pahle se hi ticket book karana hota  hai. to dosto ye to tha ki Reservation Train Ticket kya hota hai ? 

Ab hum baat karenge ki hum Reservation Train Ticket Book kaise kare ?


Reservation Train Ticket Book kaise kare

Dosto Reservation Train Ticket Book karne ke liye hamare paas 2 tarike hote hai-

1- Ghar baithe aap 'IRCTC' ki official website      par jakar online ticket book kar sakte hai.

2- Train Station par jakar Reservation                Counter se.

To dosto mere hisab se Ghar baithe online ticket book karna ak accha vikalp hai.
to chaliye aaj mai aap sabhi ko isi ke bare me batane ja raha hu. Ghar baithe online train ticket book karne ke liye apko niche diye gaye steps ko follow karna hoga.


  • Sabse pahle IRCTC ki official website par jana hoga aur waha sign up karke account bana le. agar account pahle se hai to Login kar le. 

  • Usake bad apko kaha se kaha jana hai ye likhen aur fir apke saamne trains ki list a jayegi. jo train us date ko ja rahi hongi. apko unme se pahle train select karna hai. or fir apko coach select karna hai. ac chahiye yafir non ac or fir bad apke samne Book Now ka button hoga apko us par click kar dena hoga.  

  • Book Now par click karte hi apko apna naam or bhi kuchh jankari bharni hongi aap unko sahi sahi se bhar de. uske bad apko payment karna hoga. bas apka ticket book ho jayega. 

dosto ummid karta hu ki apko samjh me aa gaya hoga ki Reserve train ticket kaise book karte hai agar apka Reserve Train Ticket Booking se Related koi Sawal hai to aap niche comment karke puchh sakte ho.... 
aise hi hamare post padte rahiye yaha par hum aapke liye bahut kuch naya bhi post karte hain.
Thanks!

0 comments: