Sunday, 24 February 2019

What is VPN. Vpn kya hota hai.

What is VPN. Vpn kya hota hai. 


What is VPN. Vpn kya hota hai.
What is VPN. Vpn kya hota hai. 




Hello friends.

Aaj ke is post me ham baat karenge VPN ki. Vpn kya hota hai or ye kaise kaam karta hai.

Vpn kya hota hai. Or kaise kaam karta hai.

Friends VPN ka full form hota hai virtual private network.
Ye ak tarah ka private network hota hai jo aapko aapki Privacy bo banay rakhta hai.
Dosto mai aapko ab bilkul asaan bhasha me samjhata hu.
Vpn aapko private or secure tarike se internet browsing ka feature deta hai.

Maan lijiye agar hamko kisi website par jana hai or wo site india me banned hai. To ham VPN ki sahayta se us website ko access kar payege.

Vpn ke apps ya software aapko bahut asani se playstore par mil jayenge.

Bas aapko playstore par search karna hoga VPN to aapke saamne bahut sare apps ajayege aap kisi ko bhi download kar sakte hain.

Dosto VPN ko jab ham log open karte hain tab VPN hamare samne bahut se country ke network ko dikhata hai. Aapko jis bhi country ke server se internet chalana hai aap us server par click kar dijiye. Click karte hi thodi si processing hone ke baad VPN hamare ip address ko us desh ke server se connect kar deta hai. 

Ab ham jo bhi internet par access karenge wo usi desh ke server se chalega.

Isse koi ye pata nahi kaga payega ki aapka ip address kaha ka hai.

Dosto aapko ye jankari acchi lafi ho to hamari gkcraft.in site ka naam jarur yaad rakhiye kyuki ham yaha par aapke liye roj aisi hi interesting jankariya post karte rahte hain.

Thanks.




0 comments: