Do not watch your own videos on your mobile. Youtube par khud ki video kyu nahi dekhni chahiye.
Do not watch your own videos on your mobile. Youtube par khud ki video kyu nahi dekhni chahiye. |
Hello dosto.
Agar aapne apna youtube channel naya naya banaya hai to aapko ye jaan lena bahut hi jaruri hai ki youtube par apni video nahi dekhni chahiye. Asia karna selfclicking ya self click kaga jata hai. To aapko apni video ko nahi dekhna chahiye. Ya apni hi video par click nahi karna chahiye.
Dosto agar aapne apna channel Jalldi hi start kiya hai ya aapka channel abhi monetize nahi hua hai tab aapko a0ni video dekhne se kam khatra hai.
Lekin agar aapka haal hi me monetization on hua hai to behtar hoga ki aap apni video na dekhen. Ab aap soch rahe hai ki to hame baki ka apna youtube ka kaam kaise karenge. To dosto uske liye youtube ne ham jaise content creators ke liye youtube creator studio app banaya hai. Iski sahayta se aap apna youtube ka saara kam kar sakte hain.
Jaise ki apni video ka thumbnail change karna. Title, description, or tag ko edit kar sakte hain. Or sari analytics check kar sakte hain.
To dosto ab ham aapko apni video dekhne ke kuch nuksaan batane ja raha hu.
Agar aapka monetization on hai or aapki videos par google AdSense ki advertisement bhi show ho rahi hai. To aapko pata hoga ki Google hame ads provide karta hai apni video ke madhya se kisi or ko dikhane ke liye. Or ye advertisement dusre logo ko dikhane ke liye hame Google paise deta hai aise me agar ham apni hi video ko dekh rahe haote hai ya galti se bhi ad par click ho jata hai to google ye sab track kqr leta hai. Self clicking google AdSense ke policy ke khilaf hai.
Aap agar baar baar apni hi video dekhte hain to aapka Adsense account disable ho jayega. Account disable hote hi aapki videos par ads aana band ho jayegi or aapki earning bhi nahi hogi.
To dosto aapko apni videos ko nahi dekhna hai. Agar aap dekhna chahte hain to kisi or ke mobile ke dekhiye jo aapke karib na rahta ho. Ya fir aap google chrome me ja kar video manager >edit par click karke dekh sakte hain.
0 comments: